Saturday, September 28, 2013

Magar rehne do...

Saare waado ko bhula sakta hu, magar rehne do,

Main tumhe chhod ke ja sakta hu, magar rahne do,

Tum jo har mod pe kah deti ho khuda haafiz,

Faisla main bhi suna sakta hu, magar rahne do,


Tumne jo baat ki dil ko dukhaane waali,
Uss par main muskura bhi sakta hu, magar rahne do,

Sharam aayegi tumhe apni hi baato par,
Tumhare waade main tumhe yaad dila sakta hu,

.
.
Magar rehne do...

No comments:

Post a Comment