Saturday, September 28, 2013

Kisi ki yaad dil mein hai koi ahsas baaqi hai,

Kisi ki yaad dil mein hai koi ahsas baaqi hai,

Badalte mausamon ke darmiyan ek raaz baaqi hai,

Abhi to main safar mein hoon milengi manzilein mujh ko,

Magar in raaston ke darmiyan ek saath baaqi hai,


Kahin par shaam dhalti hai kahin per raat hoti hai,
Abhi to chandni hai chaand ki raat baaqi hai,

Chale aao kisi din tum hamara haal bhi dekho,
Hamara jism murda hai magar ek saans baaqi hai,

Ummid hai phir milenge woh humein ek din,
Khuda per hi bharosa hai Khuda ki zaat baaqi hai...

No comments:

Post a Comment